How to Link Aadhar Card to Bank Account|NPCI+DBT Link Online 2026|

Hello Doston artical post ke madhyam se main aap sabhi ko batane wala hun ki jo hai

Aadhar card bank Se kaise link kar sakte hain Ghar baithe npci debit enable online kaise kar sakte hain pura process mein is complete post mein batane wala hun step bye step process-

👉Aadhar NPCI DBT kya hai-

DBT kya hai-

DBT ka full form hai Direct Benefit Transfer yani “Seedha Labh Hastantaran“.

Is system ke tahat sarkar koi bhi sahayata, subsidy ya pension ka

paisa bicholiye ke bina seedha labharthi ke bank account me bhejti hai.

NPCI Kiya hai-

NPCI ka full form hai National Payments Corporation of India.

Ye RBI ke dwara banaya gaya ek organization hai jo India me

digital payment system chalata hai jaise UPI, RuPay, Aadhaar Payment.

To Aadhaar NPCI DBT ka matlab hai: Aapke Aadhaar number ko NPCI ke server par kisi ek bank account se link kar dena, taaki sarkar jab bhi Aadhaar number par paisa bheje to wo seedha usi account me chala jaye.

Ye kaise kaam karta hai?

Maan lijiye aapke 2-3 bank account hain. Aapne sabhi me Aadhaar de rakha hai. Lekin sarkar ko kaise pata chalega ki paisa kis account me bhejna hai?

NPCI Aadhaar Seeding क्या है? सरकारी पैसा सही बैंक खाते में कैसे आता है?

अगर आपके पास 2-3 बैंक खाते हैं, तो NPCI Aadhaar Seeding की मदद से सरकारी

DBT भुगतान सही बैंक खाते में आ सकता है। इसके लिए अपने बैंक में Aadhaar Linking और

NPCI Mapping का स्टेटस चेक करें। PM Kisan, Scholarship, Pension और LPG Subsidy जैसी

योजनाओं का पैसा पाने के लिए बैंक खाते की पात्रता और DBT स्थिति की पुष्टि जरूर करें।

NPCI DBT kyun zaroori hai?

Agar aapka Aadhaar NPCI par Active nahi hai to aapko ye labh nahi milenge:

  • PM Kisan Yojana – saal ka ₹6000
  • VB-G RAM G / MGNREGA ki majdoori
  • Gas Subsidy
  • Scholarship aur Pension
  • Ladli Behna, Vridha Pension jaisi rajya yojanaayein

Active hai ya nahi kaise check karein?

Offical website Open kare-

Google brouser open kar lena hai aur yahan per search karna hai-npci.org.in/

Government ki total hai yahan per npci ke dwara jo hai aapka National payment corporation off India ka website hai ji yahan per aapko customer wale section per jana hai.

Bharat Aadhaar Seeding Enabler (BASE)

Bharat Aadhaar Seeding Enabler (BASE) wale option par click katrna hai,

Mapped Status par click karna hai exmaple image me so hu raha hai.

Aadhaar Mapped Status-

Aadhar number yahan par enter karte hain aur capture ko daal denge,

OTP bheja jaayega, jo ki Aadhar card ke registered mobile number par jaayega. OTP enter karke

Check Status par click karenge, to aapko pata chal jaayega ki aapka DBT enable hai ya nahi.

How to Link Aadhar Card to Bank Account|Step by Step-

To doston, jaise ki humne pehle apna DBT enable status check kiya hai, waise hi ab humein usi portal par wapas aana hai. Iske baad aapko Aadhaar Seeding / De-Seeding wala option dikhai dega. Phir, jaisa ki aap image mein dekh sakte hain, aapko usi option par click karna hai.

Aadhar Seeding DeSeeding-

Aadhar Seeding DeSeeding wala option per click karna hai

Aadhaar Seeding करते समय Bank Account Details कैसे भरें

Enter your Aadhaar Aapna Aadhar number enter karna hai

  • hamen Seeding per click karna hai aur apna bank account jo hai vah select karna
  • Ab yahan per aapko Dhyan dena hai ki aapka Account number correct hona chahie aur yahan per account number aur confirm account number enter karna hai.
  • Submitting my Aadhar number ✅ checkbox per aapko click karna hai

Captcha code correct enter karna hai Aur Sumit kar dena hai.

OTP Verification-

Ab yahan aapke jo hai mobile number per 6 digit ka OTP enter karna hai,

Your Aadhaar is currently mapped to INDIAN BANK, Please click ok to proceed with PUNJAB NATIONAL BANK APKO Confirm par click karna hai

Aadhar Seeding Successfully-

Result: Your Aadhar XXXX XXXX-9243 Successfully Reseeded from INDIAN BANK To PUNJAB NATIONAL BANK Account no-XXX XXX -9149 Successfully hu kar so hu gayega

Link Aadhar Card to Bank Account|Direct link-

Hello friends to main aapko jo hai bank account link karne ke liye Aadhar se NPCI+DBT enable karne ke liye main aapko direct link de raha hun is per click karke aap Jo Hai apna Ghar baithe Aadhar card bank account se link kar sakte ho

Direct linkhttps://www.npci.org.in/

Note-

Ya koi Government website nahin Hai yah ek aisi website hai jisse aapko bahut sari information aur Kai aisi chijen jo aapko sikhane ko milegi

Is post mein aapko Koi chij nahin samajh mein aata hai to aap is post per jo hai mujhe comment kar sakte hain

Q1.NPCI Kya hota Hai?

Ans.NPCI Ye Goverment website eska pura naam NATIONAL Payment Corporation of india hai.

Q2.Aadhaar me Bank Account kaise link kare?

Ans.Aadhar me Bank Account ap ghar baithe be link kar sakthe hai-Google par search kar NPCI website ko open kar lena hai ye website par link kar sakhte hai.

Q3.Kya Ghar baithe DBT enable kar sakte hain?

Ans.Han bilkul aap NPCI ya Aadhar ke website se aap apna dbt enable kar sakte hain.

Q4.Aadhar Card se bank link karna kyon jaruri hai?

Aadhaar Card ko bank account se link karna bahut zaroori hai. Isse UPI online payment karna aasan hota hai. Saath hi, PM Kisan Nidhi, Vridha Pension aur government schemes ka paisa seedhe bank account mein aa sakta hai. Isliye apne Aadhaar Card ko bank account se zaroor link karein.

Q5.Aadhar card bank account kahan se link Karen?

Ans.Aadhar card bank account Ghar baithe bhi link kar sakte hain aur Bank bhi jakar link kar sakte hain.

Q6.Aadhaar Bank Seeding kya hai?

Aadhaar ko bank account se link karna Aadhaar Seeding kehlata hai. Isse government schemes ka paisa seedhe aapke bank account mein aa sakta hai.

To doston is post mein Maine complete jankari bataya hua hai ki kaise jo aap Apne Ghar baithe bank account kaise link kar sakte hain pura process Maine bataya hua Hai

PVC Voter ID Card Online Order Kaise Kare? 2026

Thanks for Watching-

4 thoughts on “How to Link Aadhar Card to Bank Account|NPCI+DBT Link Online 2026|”

Leave a Comment